jalan dil ki likkhen jo hum dil-jale zaban-e-qalam mein paden aable rah-e-sab-e-ulfat mein ghabra na dil bahut aise pesh aaenge marhale na din wo tumhaare na apna wo sin tumhaare hamare wo din sin dhale adam ki bhi kya rah hai be-nazir chale jate hain pesh-o-pas qafile wo ab nimcha kar chuke hain alam ajal aa chuki sar pe kyun-kar tale thahar ja koi dam ke mehman hain khabar le hamari chale hum chale lakiren bhi mit mit gain hath ki zi-bas hum ne dast-e-tassuf male rahe dil ke arman sab dil mein haif nikalne na pae mare hausle bada ho budhape ka sab kho diya na meri jawani na wo walwale gada koi le kar dil-e-muztarib mazaron mein aane lage zalzale siyah-kariyon mein kati umr sab qalam ki tarah sar ke bal go chale mohabbat buton ki ye dil chhod de kisi tarah chhati se patthar tale shikayat ka mauqa na tha wasl mein ki thi rah thodi bahut the gile koi dam mein hai naqsh-e-hasti fana kidhar dhyan hai tera o bawle kinar-e-lahad mein pade hain wo aaj jo aaghosh-e-madar mein the kal pale gala tegh-e-qatil se ragda kiya na jhachka zara wah re manchale na laya koi sham-o-gul gor par lahad mein bhi dagh-e-mohabbat jale chale bagh-e-hasti se hum na-murad kisi rut mein ai gul na phule-phale azal se hain ushshaq mazbuh-e-husn jo manind-e-mahi kate hain gale jo fariyaadi tere bhi aa nikle wan zamin hogi mahshar ki upar-tale jo abru ke honge ishaare yunhi meri jaan lakhon katenge gale kiye jae kawish palak yar ki abhi dil ke phute nahin aable sira mein na ghafil ho bandho kamar chalo sath walo chalo hum chale rahe mera jism-e-misali sahi bala se ye putla sade ya gale ye sab sar-zamin fitna-angez hai hazaron hi uthte hain yan ghalghale nazar bhar ke phir dekh lun shakl-e-yar jo aai hui meri dam bhar tale hamesha raha dagh dagh apna jism sada misl-e-sarw-e-charaghan jale falak ko milana tha gar khak mein to phir naz-o-neamat se kyun hum pale rahe bar-war shakh-e-nakhl-e-murad ilahi hamesha to phule-phale zamane pe afsurdagi chha gai na hain ab wo charche na wo mashghale musafir hun dilwaunga nazr-e-khizr jo tai honge raste ke sab marhale lahu shab se aata hai ashkon ke sath kaleje ke nasur shayad chhile basar ho gai is tamanna mein umr koi dost yak-rang mujh ko mile ye kya rog ab ho gaya 'rind' ko kai sal udhar tak the change bhale