jab se tu kaba-e-dil mein hai sanam ki surat dair mujh ko nazar aata hai haram ki surat is qadar chur hai aaina-e-ehsas mera ab na wo rang-e-masarrat hai na gham ki surat ye haqiqat hai mohabbat bhi asar karti hai kabhi tiryak ki surat kabhi sam ki surat ramish-o-rang se hai shahr-e-nigaran mamur dil hai viran magar shahr-e-adam ki surat is qadar waqt ke suraj ne tapaya 'athar' ro diye dekh ke hum abr-e-karam ki surat