hamein mausamon ka shuur hai hamein na-samajh na khayal kar tu nawed-e-fasl-e-bahaar de na lahu faza mein uchhaal kar kabhi apne tair-e-shauq ko na asir-e-dam-e-khayal kar kabhi guftugu-e-firaq kar kabhi justuju-e-visal kar na khirad ko sarf-e-nashat kar na junun ko waqf-e-malal kar koi sehr-kar-e-hunar dikha koi sai-e-kasb-e-kamal kar na hikayat-e-shab-o-roz kah na shikayat-e-mah-o-sal kar na kisi ko waqif-e-dard kar na kisi ko shamil-e-haal kar sar-e-bazm ho jo sukhan-sara kahe harf harf sanbhaal kar na kisi ko talkh jawab de na kisi se tund sawal kar main unhen qubul nahin magar mere ham-safir ye soch len ki phir un ke pas rahega kya mujhe gulsitan se nikal kar wo teri ghina ka mutalba ki farakh dast-e-ata rahe ye teri ana ka moamla na daraaz dast-e-sawal kar mera dil nahin mera masala ki hai ab ye aap ka aaina ise ehtiyat se dekhna ise todna to sanbhaal kar main amir-e-mulk-e-tarab nahin mujhe jam-e-jam ki talab nahin meri asl hai isi khak se mujhe pesh jam-e-sifal kar