jab se us shoKH-e-gul-andam ko uryan dekha

jab se us shokh-e-gul-andam ko uryan dekha
phir gulistan mein na su-e-gul-e-khandan dekha

un ke pahchan ka kal le gaya parda koi
be-naqab aaj sanam ka rukh-e-taban dekha

lendi kutte ki tarah ghair pada rahta hai
dar-e-jaanan pe na sang aur na darban dekha

aqd mein phulon mein dawat mein hain har ja maujud
hum ne na-khwanda sada shaikh ko mehman dekha

kucha-e-zulf-e-sanam mein hai juon ka maskan
qaidiyon se kabhi khali na ye zindan dekha

bech kar mahram-e-zartar kharida us ne
jis pari-ru ne 'inayat' tera diwan dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close