kahte shab-e-visal mein wo bar bar hain lao miyan wo dam jo pahle udhaar hain shaitan bhi muflisi mein satata hai rah mein dhele hain dekh lijiye jo mal-dar hain dar-parda mujh se karte hain wo jaan ka sawal kahte jo dam-ba-dam wo mujhe dam madar hain aaram hai surur hai kya sukh badan ke sath kambakht hain jo log nasiban ke yar hain allah re muflisi ki mujhe pa ke nange sar jute ke ganthne se gurezan chamar hain jo sainkadon na lete the kahte hain ab wo yun dilwao kuchh hamein ki bahut zer-e-bar hain ye dhun bandhi hui hai watan ki ki raat-din ghurbat mein bhi alapte hum deskar hain shan-e-khuda ki tan 'inayat' pe wo karen jo log tansen ke khud rishta-dar hain