jab se wo kah ke gae hain ki abhi aate hain koi aata hai samajhta hun wahi aate hain barg-o-bar aate hain shakhon mein gul-o-ghuncha bhi wo jab aate hain chaman mein to sabhi aate hain apni qismat ka sitara to nahin gardish mein na khabar aati hai un ki na wahi aate hain ishq-e-sadiq ne jhukaya sar-e-husn-e-maghrur jin ko dawa tha na aane ka wahi aate hain ashk ban kar kabhi aate hain kabhi ban ke hansi ab mohabbat mein bahar-shakl wahi aate hain ab to ek bhid chala karti hai un ke ham-rah baat bhi kar nahin sakte jo kabhi aate hain pine jate hain sar-e-sham 'nazir' ek buzurg aur kuchh raat dhale ban ke wali aate hain