jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka roz badh jata hai ek halqa meri zanjir ka mere hisse mein kahan thin ujlaton ki manzilen mere qadmon ko sada rasta mila takhir se kis liye barbaadiyon ka dil ko hai itna malal aur kya andaza ho khamyaza-e-tamir ka khun-e-dil jin ki gawahi mein hua nazr-e-wafa rang to wo ud gae ab kya karun taswir ka main ne samjha teri chahat ko faqat inamat-e-zist mujh ko andaza na tha is jurm is tazir ka ek lab tak hi na pahunchi jo dua thi mustajab kis qadar charcha hua hai aah-e-be-tasir ka lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe sach taaruf hai mere har sher har tahrir ka