kabhi haya unhen aai kabhi ghurur aaya hamare kaam mein sau sau tarah futur aaya hazar shukr wo aashiq to jaante hain mujhe jo kahte hain ki tera dil kahin zarur aaya jo ba-hawas tha dekha usi ne jalwa-e-yar jise surur na aaya use surur aaya khuda wo din bhi dikhae ki main kahun 'bekhud' janab-e-'dagh' se milne main ram-pur aaya