jab sham-Dhale hijr tera mujhse mila tha

jab sham-dhale hijr tera mujh se mila tha
main ashkon ke jalte hue khemon mein khada tha

inam-zada chehron pe khiffat thi khushi ki
darbar mein ek tan se juda sar bhi pada tha

ye dariya tere sath mujhe le hi chale the
sad-shukr samundar ne mujhe tham liya tha

main khali tahi-daman mazafat ka basi
ganw ke muqaddar se tera shahr bada tha

aayat ko nezon pe chadha kar to na puchho
zanjir-zani karte hue shahr mein kya tha

jo aaj mere darpae-azar hua hai
ye gham to mere khun ke tukdon pe pala tha

us shakhs ko aazadi meri mar na dale
jo rauzan-e-zindan se mujhe jhank raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close