jis ko batlaya ki ye ghar hai ye aangan hai mera

jis ko batlaya ki ye ghar hai ye aangan hai mera
mujh ko malum nahin tha ki wo dushman hai mera

meri kutiya hi tujhe shahr mein achchhi na lagi
main bade naz se kahta tha ki sawan hai mera

mujh ko khairaat na de par mera kashkol na tod
aakhiri fard hun main aakhiri bartan hai mera

aaj lauta do budhape ne use dekhna hai
teri diwar pe rakkha hua bachpan hai mera

chand tinke jo sar-e-shakh-e-shajar lipte hain
tujh ko malum hai ai barq nasheman hai mera

ek lamha bhi zarurat ne sanbhalne na diya
kis ke darwaze pe phaila hua daman hai mera

kam-sini qasr ke bachchon mein kahin bhul aaya
ye kisi aur ka khela hua bachpan hai mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close