jab sham hui maine qadam ghar se nikala

jab sham hui main ne qadam ghar se nikala
duba hua khurshid samundar se nikala

har-chand ki is rah mein tahi-dast rahe hum
sauda-e-mohabbat na magar sar se nikala

jab chand numudar hua dur ufuq par
hum ne bhi pari-zad ko patthar se nikala

dahka tha chaman aur dam-e-subh kisi ne
ek aur hi mafhum gul-e-tar se nikala

us mard-e-shafaq-fam ne ek ism padha aur
shahzadi ko diwar ke andar se nikala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close