zara bhi kaam na aaega muskurana kya

zara bhi kaam na aaega muskurana kya
tana rahega udasi ka shamiyana kya

main chahta hun takalluf bhi tark kar do tum
nahin hain ab wo marasim to aana-jaana kya

tamam tir-o-tabar kya mere liye hi hain
mujhi pe lagna hai duniya ka har nishana kya

unhin ko chir ke badhna hai ab kinare par
utar gae hain to lahron se khauf khana kya

yun apni zat ke dar par khade ho kab se tum
ki apne ghar bhi hai aawaz de ke jaana kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close