jab sin dekha hun yar ki surat gul kun bujha hun khar ki surat kyun na hue qatl dam-ba-dam aashiq hain bhawen zul-fiqar ki surat mujh kun aaina-e-tasawwur hai dilbar-e-gul-ezar ki surat dil ne mere kiya hai tauq-e-gulu zulf-e-gul-ru hai haar ki surat na-umidi mein jalwa-e-didar hai khizan mein bahaar ki surat safha-e-dil pe sina-chaakon ke naqsh hai us nigar ki surat kaghaz-e-abr par likha hai 'siraj' dida-e-ashk-bar ki surat