jab sine se marne ka Dar niklega

jab sine se marne ka dar niklega
aur hi kuchh ye khak ka paikar niklega

bo jo raha hun amn-o-aman ki faslen main
dekhna kal is khak se lashkar niklega

sail banega hone ka idrak kabhi
is manzar se aur hi manzar niklega

duniya jite ji jo duniya ho na saki
sine se ye arman mar kar niklega

gul-chinon ke zulm ki koi had hi nahin
kis din har ek shakh se khanjar niklega

jidd-o-jahd ki jis se baaten hoti hain
kya hoga jab ek din mukhbar niklega

'bedi' mera qadam hi hoga duniya mein
jo hadd-e-imkan se bahar niklega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close