na mil saka tari lahron mein bhi qarar mujhe samundar apni tahon mein zara utar mujhe hawa ke panw ki aahat gulab ki chikhen suni hain main ne adalat zara pukar mujhe main bar bar tere waste bikhar jaun tu bar bar mere aaine sanwar mujhe falak ko tod dun main apni aah se lekin zamin walon se be-intiha hai pyar mujhe ek us ki zat se jab mera e'tibar utha to phir kisi pe bhi aaya na e'tibar mujhe