jab tak charagh-e-sham-e-tamanna jale chalo do-chaar hi qadam hai ye rasta chale chalo is had ke baad koi nahin darmiyan mein had tai kar chuke ho aur jo sab marhale chalo be-khwab khun-ankh mein dafna ke zakhm-e-khwab milne ko hai sahar se ye shab bhi gale chalo shayad wo dhundhta ho tumhein jis ki khoj hai chehre pe jazb-e-dil ke ujale male chalo hain baadban shikasta mukhalif hawa magar jab tak na dil mein aas ka suraj dhale chalo phir kaun naz us ke uthaega bazm mein tanhaiyon ko apne hi ham-rah le chalo aankhon mein khwab aag ragon mein jawan azm 'shahzad' ab kahan hain wo sab silsile chalo