hum se tanhai ke mare nahin dekhe jate bin tere chand sitare nahin dekhe jate haarna din ka hai manzur magar jaan-e-aziz hum se gesu tere haare nahin dekhe jate dil phansa bhi ho bhanwar mein to koi baat nahin ranj mein dubte pyare nahin dekhe jate jin ke pairon mein samundar the jhukae nazren un ki aankhon mein kinare nahin dekhe jate chhin le meri samaat ki basarat ya-rab un labon par mere nare nahin dekhe jate jin ki aahat se bandhi thi mere dil ki dhadkan un nigahon ke ishaare nahin dekhe jate tur patthar tha mere dil ko dikha apni jhalak phir ye kahna ki nazare nahin dekhe jate mah-e-kaamil bhi jise dekh ke sajde mein gire aankh mein us ki sitare nahin dekhe jate