jab tak gham-e-jahan ke hawale hue nahin hum zindagi ke jaanne wale hue nahin kahta hai aaftab zara dekhna ki hum dube the gahri raat mein kale hue nahin chalte ho sina tan ke dharti pe kis liye tum aasman to sar pe sambhaale hue nahin anmol wo guhar hain jahan ki nigah mein dariya ki jo tahon se nikale hue nahin tai ki hai hum ne surat-e-mahtab rah-e-shab tul-e-safar se panw mein chhaale hue nahin das len to un ke zahr ka aasan hai utar ye sanp aastin ke pale hue nahin teshe ka kaam resha-e-gul se liya 'shakeb' hum se pahad katne wale hue nahin