jab tak mera sukun aziyyat nahin bana main khwab hi raha hun haqiqat nahin bana likkha nahin kabhi use sheron ke darmiyan jo sher raushni ki alamat nahin bana is kar-e-ashiqi mein badi bhul ho gai wo shauq hi raha hai aqidat nahin bana apna alag mizaj tha chup-chap kat di main shahr-e-dil-fareb ki zinat nahin bana ye hath ghis chale hain usi kar-e-shauq mein 'asim' koi bhi aks salamat nahin bana