mere honTon pe ajab aah-o-fughan rahne diya

mere honton pe ajab aah-o-fughan rahne diya
us ne furqat mein bhi khamosh kahan rahne diya

ta ki jazbaat-zada qais nasihat pakden
dasht walon ne mera nam-o-nishan rahne diya

main ne izhaar ke sab raste muqaffal kar ke
jo bhi manzar tha wo duniya pe ayan rahne diya

kar-e-takhliq mein koi to zarurat hogi
us ne iqan ke parde mein guman rahne diya

mujh ko aasani nazar aati thi us mein 'asim'
aashiqi kar li sabhi kar-e-jahan rahne diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close