jab tak wo shoala-ru mere pesh-e-nazar na tha main aashna-e-lazzat soz-e-jigar na tha eazaz-e-rang-o-bu se nawaza gaya use jis gul ke sar pe saya-e-shakh-e-shajar na tha afsos aap se na hua azm-e-iltifat warna mera pahad ki choti pe ghar na tha jo aasman ki jhil mein chamka tamam raat wo tera ak-e-naqsh-e-qadam tha qamar na tha shabnam se tar tha mere sirhane ka surkh phul lekin abhi to raat ka pichhla pahar na tha guzri hai yun uthae hue zindagi ka bojh jaise main koi pul ka sutun tha bashar na tha