bagh kya kya shajar dikhate hain

bagh kya kya shajar dikhate hain
hum bhi apne samar dikhate hain

aa tujhe be-khabar dikhate hain
haalat-e-nama-bar dikhate hain

kuchh mazahir hain jo nagar mein hamein
dusra hi nagar dikhate hain

ruh-e-mutlaq mein ishq jazb hua
arsh ka kaam kar dikhate hain

khud to pahunche hue hain manzil par
panw ko dar-ba-dar dikhate hain

hum ko matlub khud se jaana hai
wan nahin hain jidhar dikhate hain

kitna phailaw raqs-e-ab mein hai
apne sar se utar dikhate hain

aa dikhate hain tujh ko apna aap
aur dil khol kar dikhate hain

aa karaate hain sair-e-dil tujh ko
aa tujhe bahr-o-bar dikhate hain

jab dikhani ho raunaq-e-raftar
wo yahan se guzar dikhate hain

uthte pani si lahr lene se wo
sar se pa tak kamar dikhate hain

kaun suraj hamari aankhon ko
khwab-e-sham-o-sahar dikhate hain

rah-e-dushwar jab nahin katti
wo koi baat kar dikhate hain

mat utha ab koi nai diwar
hum tujhe apna sar dikhate hain

chandni kya kahin pe bikhregi
tere dar par bikhar dikhate hain

dekh ek tangi-e-qayamat-khez
hum tujhe apna ghar dikhate hain

baam-e-aflak se utar hamein
hath par dip dhar dikhate hain

asl rukh ka nahin hai ushr-e-ashir
jo hamein chaara-gar dikhate hain

kuchh to mazmun bane-banae hain
aur kuchh bandh kar dikhate hain

ghamza-ha-e-pas-e-nazzara 'nawed'
hum ko rah-e-safar dikhate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close