jab tak ye ghar mein qaid thi kitna sukun tha

jab tak ye ghar mein qaid thi kitna sukun tha
ab sath sath chalti hai tanhaiyan meri

aah-o-fughan bhi raegan hai un ke shor mein
dushman bani hui hai ye shahnaiyan meri

ek aaftab matla-e-dil par hua tulua
qaus-e-quzah mein chhupa gai parchhaiyan meri

pahra hate jo un ka to main khul ke sans lun
chhodengi kab akela ye tanhaiyan meri

har subh jagte hue main sochta hun 'nur'
kahti hai kuchh na kuchh to ye angdaiyan meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close