main anjaan tha jin se aise jazbon ki pahchan hui

main anjaan tha jin se aise jazbon ki pahchan hui
'nur' bana jo qaus-e-quzah to rangon ki pahchan hui

khol ke aankhen jab bhi haqiqat ka main ne didar kiya
mujh ko dilasa dene wale sapnon ki pahchan hui

main sare aakash mein ghuma pankh thake to laut aaya
jab aa kar dali pe baitha pedon ki pahchan hui

ishq mein mil ke khinch raha hai dekh lakiren galon par
dukh aur kajal ke na-jaez rishton ki pahchan hui

main ne apne rahbar ko bas yaad kiya aur muskaya
maston ki toli mein jab bhi piron se pahchan hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close