jab talak aab-o-dana lagta hai ye jahan aashiyana lagta hai ghuncha ghuncha khila hai phulon sa aap ka muskurana lagta hai meri man ka diya hua rumal dhup mein shamiyana lagta hai aaj lambe safar pe chalte hain aaj mausam suhana lagta hai aise bachchon ko kaun samjhae ghar jinhen qaid-khana lagta hai aap ka dard dard hai lekin dusron ka bahana lagta hai tu wafadar hai to phir 'ulfat' kyun bura aazmana lagta hai