paikar-e-KHaki ye mana maut se do-chaar hai

paikar-e-khaki ye mana maut se do-chaar hai
zindagi tera magar rasta bahut dushwar hai

jo hai muflis wo zamane mein zalil-o-khwar hai
mal-o-zar ho pas jis ke sahab-e-kirdar hai

ris raha hai khun badan se bhigta hai pairahan
zakhm hai mere jigar ka ya ki lala-zar hai

khun-e-dil se main ne sincha hai tujhe ai zindagi
mere hi dam se to ye chehra tera gulzar hai

bhap ban kar ud gaya meri rag-e-jaan se lahu
barishen ab khun ki hongi yahi aasar hai

jaane kis ki justuju ye kar rahe hain roz-o-shab
chand suraj ke liye ek manzil-e-dushwar hai

bik rahe hain din-o-iman bik rahe hain jism-o-jaan
ye jahan-e-arzu ek misr ka bazar hai

aap ke dil ka muamma zehn ne hal kar liya
aap ke inkar hi mein aap ka iqrar hai

munfarid meri zaban hai khub-tar mera bayan
fikr ka 'tauqir' ek dariya pas-e-diwar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close