jab talak charb na jun sham-e-zaban kijiyega sarguzisht apni ka kya khak bayan kijiyega barq san hans ke jo wa aap dahan kijiyega mani-e-makhzan-e-asrar ayan kijiyega dil ko jab mail-e-chashman-e-butan kijiyega turfat-ul-ain mein sair-e-do-jahan kijiyega dil-e-sad-para mera shisha-e-ba-shikasta hai is ko pamal zara dekh ke han kijiyega dil-e-pur-abla laya hun dikhane tum ko band ai shisha-garo! apni dukan kijiyega kyun lagate ho mere sina-e-sad-chaak ko hath chashm-e-sozan se nazar bakhiya-garan kijiyega tum ko apna dil-e-pur-dagh dikhate jo kabhi sair-e-gulshan na phir ai lala-rukhan kijiyega hath se mohtasib-e-dahr ke ek din barpa sar pe shishe ke kharabi na yahan kijiyega aabru madd-e-nazar hum ko hai teri yan tak ashk ko rokiyega zabt-e-fughan kijiyega kyunki nargis teri aankhon se kare ham-chashmi jab tak us ka na ilaj-e-yaraqan kijiyega ru-kashi dekh na kar gosha-nashinon se falak har tarah se teri khatir pae-shan kijiyega nawak-e-ah lagaenge piyape tujh par qadd-e-kham-gashta ko jab apne kaman kijiyega abr-e-naisan ki bhi jhad jaegi pal mein shekhi dida-e-tar ko agar ashk-fishan kijiyega dil mein kuchh ye na samajhna ki hamara hai daur jamadari mein shak ai baada-kashan kijiyega dil mein rakhte ho khayal us ki kamar ka jo 'nasir' la-makan mein kahin kya ja ke makan kijiyega