nahin khasta-haali pe na-mutmain hum yahi tat makhmal yahi tat resham hum achchhi tarah jaante hain ye naseh ki sachchai ka ajr hai saghar-e-sam kisi haal mein bhi rakhe rakhne wala bhala dahr mein kya khushi aur kya gham nahin apni ghaeb-dimaghi pe hairat mohabbat mein hota hai aksar ye aalam koi shor sa dil mein rahta hai barpa dama-dam dama-dam dama-dam dama-dam rahe tazkire amn ke aashti ke magar bastiyon par baraste rahe bam kahan chain se aaj duniya mein koi ye jannat bana di gai hai jahannam na guzra kabhi ek lamha sukun se mohabbat mein aae wo din-raat paiham