jab talak dam raha hai aankhon mein ek aalam raha hai aankhon mein gar ye paiham raha hai aankhon mein raat bhar nam raha hai aankhon mein us gul-e-tar ki yaad mein ta-subh raqs-e-shabnam raha hai aankhon mein subh-e-rukhsat abhi nahin bhuli wo saman bas raha hai aankhon mein dil mein ek umr jis ne shor kiya wo bahut kam raha hai aankhon mein kabhi dekhi thi us ki ek jhalak rang sa jam raha hai aankhon mein