jab tasawwur tera nahin hota zindagi mein maza nahin hota dard dil ka chhupae rakhne ko muskurana bura nahin hota zindagi ho ke rah gai bojhal ab koi hadsa nahin hota sher likhta hun khun se phir bhi dard ka haq ada nahin hota umr guzri hamein safar karte fasla kam zara nahin hota yaad-e-mazi se kyon ulajhte ho is se kuchh faeda nahin hota zindagi bojh ban gai jab se khauf gham ka zara nahin hota ai 'sahar' aai ye sahar kaisi ki ujala zara nahin hota