bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri

bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri
wo kya gae ki gai sath zindagi meri

teri khushi se to badh kar nahin khushi meri
teri khushi hi pe sadqe hai zindagi meri

bana raha tha main taswir gham ke maron ki
ye kya hua ki wo taswir ban gai meri

zamana kitna hai manus meri haalat se
badal badal ke kahani likhi gai meri

wo kya nibhaenge ab khak dard ka rishta
unhen to lagti hai surat bhi ajnabi meri

sabhi the dube hue apne jam-o-saghar mein
koi to dekhta aankhon ki tishnagi meri

khayal aap ka aaya to bhar gain aankhen
hayat kitni hai hassas aaj bhi meri

abhi se aaina kyon rakh diya mere aage
abhi to waqt ne dekhi nahin chhabi meri

main dekhta raha aankhon se apni barbaadi
kisi ne lut li duniya se har khushi meri

chalo khayal to aaya unhen kabhi mera
ye aur baat ki hasrat nikal gai meri

main is fareb mein jita raha 'sahar' ab tak
ki un ke waste sab kuchh hai zindagi meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close