jab tere siwa koi mere kaam na aae

jab tere siwa koi mere kaam na aae
kyon lab pe mohabbat se tera nam na aae

khilte hi rahen donon gulabon ki tarah se
aaghaz mahakta rahe anjam na aae

padti hi rahen zist pe khurshid ki kirnen
ab subh ke aalam pe rukh-e-sham na aae

hota hi rahe kaif-e-mohabbat mein izafa
nazdik kabhi gardish-e-ayyam na aae

dale hai musibat mein na rakkhe hai kahin ka
allah kisi par dil-e-nakaam na aae

rahon mein nazar aate hain ab husn ke jalwe
us shokh se kah do ki lab-e-baam na aae

jitne bhi ho ilzam sab aa jaen mere sar
par tujh pe kisi baat ka ilzam na aae

ye kis mein hai himmat ki mere jaan nikale
jab tak ki mujhe maut ka paigham na aae

pita rahun bad-mast nigahon se mai-e-shauq
phir gham nahin hathon mein mere jam na aae

ai 'yas' bas ab wo hi madad-gar hai apna
koi bhi yahan is ke siwa kaam na aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close