hum ne kabhi socha hi nahin tha aisa amal aghyar karenge jina bhi dushwar karenge marna bhi dushwar karenge aisi tawaqqo un se kab thi aisa kab socha tha hum ne hum ko hi rakkhenge pyasa auron ko sarshaar karenge apne dil ki tum se kah kar man ko halka kar lete hain tum na sunoge baat hamari hum kis se izhaar karenge azm-e-musammam le kar dil mein aaj ye hum ne ahd kiya hai ghaflat mein jo khwabida hain hum un ko bedar karenge fikr-e-nasheman hum nahin karte hum karte hain fikr-e-gulistan sab ke dukh mein kaam aaenge sab ki nayya par karenge is duniya ko chhod ke ek din aage pichhe jaana hoga rah ke kya majbur karenge rah ke kya mukhtar karenge bakhshi hai allah ne hum ko ilm ki daulat quwwat-e-iman dekhna ek din haq ki khatir hum baatil par war karenge aap se hai had darja mohabbat aap ke hum hain aap hamare aap ka zikr-e-khair hamesha ek nahin sau bar karenge haal mein dukh hai 'yas' agarche mustaqbil mein khushiyan hongi wo dete hain gham dene do hum bhi gham se pyar karenge