jab teri begangi ke gham se ghabraata hun main mujh ko samjhata hai dil aur dil ko samjhata hun main shauq se ai bewafa tu ab mana jashn-e-tarab kah diya jaane ko tu ne le chala jata hun main kis ne mujh ko de diya aawargi ka silsila ku-ba-ku sahra-ba-sahra thokaren khata hun main mujh se puchho main bataun talkhi-e-kaif-o-nashat saz-e-gham par ab tarane pyar ke gata hun main chaaragar tu ja tujhe dunga duaen umr bhar zakhm riste hain to ek lazzat nai pata hun main un ke gham ki pasdari ab hai farz-e-awwalin har khushi un ki khushi ke aage thukraata hun main tajrabe pichhli bahaaron ke hain mere samne muskuraata hai jo koi phul dar jata hun main