ghuncha-o-gul ko sukha sukha main bhi dekhun tu bhi dekh

ghuncha-o-gul ko sukha sukha main bhi dekhun tu bhi dekh
nazm-e-gulistan badla badla main bhi dekhun tu bhi dekh

kaun hai kitne pani mein ye raaz abhi khul jaega
ghar se nikal kar tanha tanha main bhi dekhun tu bhi dekh

bikhri hui har samt chaman mein kis ke badan ki khushbu hai
gosha gosha mahka mahka main bhi dekhun tu bhi dekh

nazr-e-talatum ho gai shayad kashti-e-dil ye kahti hai
josh-e-talatum thanda thanda main bhi dekhun tu bhi dekh

baam pe apne jalwa-fagan hain be-parda wo shayad aaj
chand ko 'qasid' phika phika main bhi dekhun tu bhi dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close