jab teri yaad mein machalta hai dil sambhaale nahin sambhalta hai chashm-e-pur-nam pe us ki hairan hun kaise patthar ka dil pighalta hai us mein aaya tere shabab ka rang tere hathon jo jam dhalta hai mujh tak aane ki rah raushan hai na jale shama dil to jalta hai kyon patange ko shama ki hai talash jalne wala to yun hi jalta hai daur-e-mai par nigah hai kis ki mast aankhon ka daur chalta hai dil mein mere kahan andhera hai aarzu ka charagh jalta hai tum ko aae ki ya na aae ras waqt to karwaten badalta hai silsile aarzu ke chalte hain dil ka arman kab nikalta hai jaisi teri nazar badalti hai waise duniya ka rukh badalta hai ladkhadaya to pa gaya manzil jo bhi sambhla hai hath malta hai jazba-e-dushmani bhi aaj 'habib' pahlu-e-dosti mein palta hai