jahan us ne jafa ki intiha ki wahi mearaj thi apni wafa ki tumhaara husn hai meri ibaadat jo tum aae to yaad aai khuda ki mohabbat jis ko ras aa jae us ko zarurat kya dua ki ya dawa ki na tha jab main to wo tashrif lae zahe maqbuliyat meri dua ki maza aaya sharab-e-tund ka sa tabiat un ki jab barham hua ki mohabbat zindagi ki warna ai dost abas hai umr ne bhi go wafa ki kami thi kaun si dil ki tadap mein ki uljhan din-o-duniya ki ata ki ghata chhai hui hai mai-kade par ye kaifiyyat hai chashm-e-surma-sa ki ab aao bhi ki hai hum se tumhaare ye garmi bazm ki masti faza ki 'habib' us ki taraf se khud kashish hai zarurat kya hai tujh ko rahnuma ki