jab tohmaten wo mujh pe lagane pe aa gaya

jab tohmaten wo mujh pe lagane pe aa gaya
main bhi use nazar se girane pe aa gaya

lahja badal ke baat to karna padi magar
us ka dimagh apne thikane pe aa gaya

in sar-phiri hawaon ko hogi shikast-e-fash
main gar charagh apna jalane pe aa gaya

aawaz jab na dab saki meri kisi tarah
kam-zarf phir wo mujh ko mitane pe aa gaya

un ki fana tha mera ubharta hua wajud
main is liye bhi sab ke nishane pe aa gaya

hum ko mitane wale kabhi dekh aaina
tu khud tabahiyon ke dahane pe aa gaya

dushman ko apne bebas o mayus dekh kar
main khud hi ja ke us ke nishane pe aa gaya

us ne 'faraaz' jab kiya ghairon ka tazkira
phir main bhi apne sher sunane pe aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close