jo mera haal hai wo us ka haal thoDai hai

jo mera haal hai wo us ka haal thodai hai
use bichhadne ka koi malal thodai hai

tu bewafai pe apni na is qadar itra
fareb dena kisi ko kamal thodai hai

tera firaq bhi aur muflisi ke sadme bhi
hamari jaan ko bas ek wabaal thodai hai

kahan ye chand kahan tera husn-o-rang-e-jamal
tere badan ki tarah us ka dhaal thodai hai

janab ek ke baad ek gham mila hai hamein
hamare waste ye achchha sal thodai hai

zamana ho gaya tark-e-talluqat hue
'faraaz' ab un se meri bol-chaal thodai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close