jab us ka idhar hum guzar dekhte hain to kar dil mein kya kya hazar dekhte hain udhar tir chalte hain naz-o-ada ke idhar apna sina sipar dekhte hain sitam hai kan-ankhiyon se gar tak lije ghazab hai agar aankh bhar dekhte hain na dekhen to ye haal hota hai dil ka ki sau sau tadap ke asar dekhte hain jo dekhen to ye ji mein guzre hai khatra abhi sar udega agar dekhte hain magar is tarah dekhte hain ki us par ye sabit na ho jo udhar dekhte hain chhupa kar dagha kar 'nazir' us sanam ko gharaz har tarah ek nazar dekhte hain