jab us ka nam labon par dua ke sath utre to chand aankh mein koi ghata ke sath utre tumhaari yaad utarti hai is tarah dil mein ki jaise sahn mein barish hawa ke sath utre kabutaron ki tarah udte hain tere gham bhi ki dil ki chhat pe to pahli sada ke sath utre faraaz-e-koh se aata hai jis tarah pani kabhi wo aankh se aisi ada ke sath utre main nind wadi mein jab bhi 'hasan' utarne laga hazar rang ke sapne bhi aa ke sath utre