kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage tere tasawwur mein hum ne kar li kitab aage wo baad-e-muddat mila to rone ki aarzu mein nikal ke aankhon se gir pade chand khwab aage dil-o-nazar mein hi apne kheme laga liye hain hamein khabar hai ki rasta hai kharab aage nazar ke hairat-kade mein kab ka khada hua hun ek aaine mein khila hua hai gulab aage guzarne wala tha rah-guzar-e-hayat se main wo ek lamha ki aa gae phir janab aage 'hasan' jo mazi ka safha ulta to aa gae hain khajur ke ped tile aur mahtab aage