jab us ko dekhte rahne se thakne lagta hun to apne khwab ki palken jhapakne lagta hun jise bhi pyas bujhani ho mere pas rahe kabhi bhi apne labon se chhalakne lagta hun hawa-e-hijr dikhati hai sabz bagh-e-visal to bagh-e-wahm mein apne mahakne lagta hun chhidakni padti hai khud par kisi badan ki aag main apni aag mein jab bhi dahakne lagta hun main khud ko chakh nahin pata ki tod leti hai mujhe hawa-e-khizan jab bhi pakne lagta hun badan ki kan se hire nikalne lagte hain main apni raat mein aksar chamakne lagta hun wo ek manzar-e-napaid hai ki jis ke liye main aankh hone ki khatir phadakne lagta hun parinde bolne lagte hain mujh mein raat gae to shakh-e-sher pe main bhi chahakne lagta hun jo kar-nama kabhi koi mujh se ho jae to apni pith main khud hi thapakne lagta hun sunane lagta hai ashaar-e-ishq jab 'ehsas' main us ke samne dil sa dhadakne lagta hun