jo shajar sukh gaya hai wo hara kaise ho main payambar to nahin mera kaha kaise ho dil ke har zarre pe hai naqsh mohabbat us ki nur aankhon ka hai aankhon se juda kaise ho jis ko jaana hi nahin us ko khuda kyun manen aur jise jaan chuke hain wo khuda kaise ho umr sari to andhere mein nahin kat sakti hum agar dil na jalaen to ziya kaise ho jis se do roz bhi khul kar na mulaqat hui muddaton baad mile bhi to gila kaise ho dur se dekh ke main ne use pahchan liya us ne itna bhi nahin mujh se kaha kaise ho wo bhi ek daur tha jab main ne tujhe chaha tha dil ka darwaza hai har waqt khula kaise ho jab koi dad-e-wafa chahne wala na raha kaun insaf kare hashr bapa kaise ho aaine mein bhi nazar aati hai surat teri koi maqsud-e-nazar tere siwa kaise ho kin nigahon se use dekh raha hun 'shahzad' mujh ko malum nahin us ko pata kaise ho