jab us ne aane ka ek din idhar irada kiya to main ne dil ka makan aur bhi kushada kiya mere mizaj se milta nahin tha mera libas to tar tar yahi soch kar libaada kiya na tha jo jit ka imkan to sulh kar li hai yun pichhli haar se is bar istifada kiya wo ek shakhs jo mujh se gurez-pa hai bahut guman hai pyar bhi mujh se usi ne zyaada kiya ajab ki arz-e-tamanna ke pech-o-kham na khule 'shahab' husn-e-talab ko hazar sada kiya