socho to bahut kuchh hai magar baat zara si yaad aati hai ab tak wo mulaqat zara si ai kash ki pakizgi-e-husn ko milti waraftagi-e-shorish-e-jazbaat zara si ek umr teri yaad mein kis tarah guzaren wo jin se guzarti nahin ek raat zara si ab bhi wahi aalam hai wahi hum hain wahi gham badli hi nahin surat-e-haalat zara si itna bhi na de tul gham-e-ishq ko 'rahi' badh jae na zalim kahin ek baat zara si