jab wo mujh se bole hai lafzon ko kyon tole hai us ka khwabida lahja nind aankhon mein ghole hai yaadon ki nayya mein dil raat ko tanha dole hai raaton ka sannata bhi raaz hazaron khole hai is duniya mein kaun hai jo apna zehn tatole hai azm jawan ho to insan koh ke patthar dhole hai paisa hai pani jaisa qatil daman dhole hai zarf to dekho daman ka kitne ashk samo le hai man panchhi ghabra kar ab udne ko par tole hai mahfil se hat kar 'bebak' tanhai mein ro le hai