hum rah-raw-e-manzil dushwar rahe hain har tarah musibat mein giraftar rahe hain gah qaid mein aur gah sar-e-dar rahe hain ai pyare watan tere parastar rahe hain har chand wafaon pe lagae gae ilzam ai hind magar tere wafadar rahe hain ye baat alag saqi nawaze na nawaze hum mai-kada-e-ishq ke mai-khwar rahe hain jo nang-e-chaman kahte hain tarikh to dekhen hum ruh-e-chaman zinat-e-gulzar rahe hain khud ahl-e-khirad chhod gae rah-e-wafa ko hum ahl-e-junun sahib-e-kirdar rahe hain dawa-e-mohabbat hai jinhen aaj chaman se mazi mein wahi desh ke ghaddar rahe hain jab jab bhi kada waqt pada apne watan par jaan apni fida karne ko tayyar rahe hain duniya ko sabaq hum ne ahinsa ka padhaya dushman ke liye aahani diwar rahe hain 'bebak' mita sakta nahin hum ko zamana hum haq ke liye bar-sar-e-paikar rahe hain