jab wo patthar ho jate hain hum bhi aazar ho jate hain ashk samundar ho jate hain ya phir lashkar ho jate hain dard jab ehsan kar deta hai lafz munawwar ho jate hain khanjar tanha rah jata hai zakhm bahattar ho jate hain main kuchh der jo chup rahta hun log sukhnawar ho jate hain ek imarat ban jati hai kitne be-ghar ho jate hain khwab nahin thakte hain man ke girwi zewar ho jate hain shishon se itna mat khelo shishe khanjar ho jate hain dil ka khun bahut hota hai sher to behtar ho jate hain