KHilat-o-zar ke talabgar tujhe kya malum

khilat-o-zar ke talabgar tujhe kya malum
sar se girne lagi dastar tujhe kya malum

hosh aata hai magar hosh udane wala
yaad aa jata hai har bar tujhe kya malum

mol insan ki ghairat ka lagane wale
kho gai hurmat-e-bazar tujhe kya malum

baith sakte hain kahan zill-e-ilahi ke qarib
hum hain 'ghaalib' ke taraf-dar tujhe kya malum

dahr ko daera-e-tegh mein rakhne wale
wusat-e-jurat-e-inkar tujhe kya malum

nasha kaisa bhi ho ek roz utar jata hai
tut hi jati hai talwar tujhe kya malum

wajh-e-tafriq bhi ban jata hai zauq-e-tamir
kaise uth jati hai diwar tujhe kya malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close